Aham maloomat! Barah e karam, is baat ka dhiyan rakhain ke Customer ke muahiday ke mutabiq: client sirf adaigi ke un systems ke zariye apny account se funds nikalwa sakty hain jin ko deposit ke liye istemal kiya gya hai.
Jesa ke client adaigi ke mutadid tareekay istemal kar ke deposits karty hain, is lye raqam nikalwanay ke amal LIFO (last in first out) system ke mutabiq anjaam diye jatay hain. Is ka matlab hai ke agar client adaigi ke tariqay 1 ka istemal karty hoye apny account main deposit karta hai, aur us ke bad deposit ke lye adaigi ke tariqay 2 ko istemal karta hai, to nikalwanay ke lye, adaigi ke tariqay 2 ke zariye kiye janay waly deposit ka kul majmoa adaigi ke tariqay 2 ke zariye pehlay (akatha ya alehda tor par) nikalwana chaiye, aur us ke bad hi, adaigi ke tariqay 1 se nikalwaya ja sake ga.
Un ilaqo main jaha maqami banks dastyab hain, baqi cheezo (jesa ke munafay, bonus funds, inamaat, partner commission, waghera) ko maqami banks se nikalwana chaiye. Agar Personal Area main maqami banks dastyab na hon, to munafay kisi bhi e-wallets ke zariye nikalwaye ja sakty hain.
Is ke ilawa, agr Client financial operations main digital/virtual currency istemal karta hai, to wo funds nikalwany ke doran har aik digital currency ke liye aik makhsoos wallet istemal karnay ka iqrar karta hai.
Aap apny Personal Area main apny account se raqam nikalwa sakty hain.
- Safhay ka balai hisay par menu main "Finances" par click karain:
- "Nikalwana" muntakhib karain;
- Adaigi ka mozu system muntakhib karain aur is par click karain;
- Us trading account ki wazahat karain jis se aap raqam nikalwana chahty hain;
- Apny e-wallet ya adaigi ke system ke account ke mutaliq maloomat ki wazahat karain. Card ke zariye nikalwany ki soorat main apny card ki copy ki samnay aur pichay ki atraaf upload karnay ke liye "+" alamat par click karain;
- Wo raqam type karain jo ap nikalwana chahtay hain;
- "Nikalwany ki tasdeeq karain" ke button par click karain.
Barah-e-karam, is bat ka dhiyan rakhain ke nikalwany ka commission ap ky muntakhib karda adaigi k system par munhasir hai.
Nikalwanay ki kaarwai ka waqt adaigi ke system par bhi munhasir hota hai.
Aap Transaction History main apni maaliyati darkhwaston ke status ki nigrani kar sakain ge.
Barah karam, yad rakhen k customer k muahiday k mutabiq:
5.2.8. Agar kisi account ko debit ya credit card k zariye fund dia gaya tha, to raqam nikalwany k amal k liye card ki copy darkar hoti hai. Copy pehlay 6 adadi awr akhri 4 4 adadi card number, cardholder ka name, expiry date par mushtamil honi chahiyay.
Apko apne card ki uqbi taraf mojud CVV code chupana chahiye, hamen us ki zarurat nahi hoti hai.