Tasdeeq Kaam ki hifazat, aap ke FBS account par store karda zati data aur funds par gher majaz rasai sy bachao, aur raqam nikalwany ki asan karwai ke liye zaroori hai.
Apny Personal Area ki tasdeeq karny ke chaar marahil ye hain:
- Apnay safhay ke balai hisay par apne avatar par click karain aur "Profile ki tarteebat" muntakhib karain:
- "Tasdeeq" ke section main "ID ki tasdeeq" par click karain ya is link ko follow karain.
- Zaroori fields ko pur karain. Barah e karam, apni official dastawezat se mukammal tor par mumasil, durust data darj karain.
- 'jpeg', 'png', 'bmp', ya 'pdf' format main kul 5Mb sy kam size ki apni tasweer aur patay ke saboot ke sath apny passport ya hakoomat ki jari karda ID ki copies upload karain:
- "Darkhwast bhejain" ke button par click karain. Is par kuch hi der main ghor kiya jaye ga.
Barah e karam, is bat se bakhabar rahain ke aap apny Personal Area main tasdeeq ke safhay par apni tasdeeq ki darkhwast ka status dekh sakty hain. Jese he apki darkhwast qubool ya mustard hoti hai, to apki darkhwast ka status tabdeel ho jae ga.
Barah e karam, tasdeeq mukammal honay ke bad apny e-mail box main e-mail it-tila ka intezar karain. Ham aap ki tahammul mizaji or mafahmat ko sarahte hain.