Sub se pehly hum aap ko ye link dekhny ki tajweez dete hain. Yahan aap kuch mufeed tips talash kar sakain ge.
Aghaz karny ke liye teen marahil ye hain:
- Asal trading account kholain.
- Apny mulk ke liye dastiyab kisi bhi tareeqay ko muntakhib karty hoye apny account (sirf Asal accounts ke liye) main funds deposit karain.
- Hamari website se MetaTrader4 ya MetaTrader5 trading platform download karain aur isay apni device par install karain.
Ab aap apni pehli trade ka aghaz karny ke liye tiyar hain. Abhi tak isay karny ka tareeqa maloom nahi? Yahan kuch mukhtasar tajaweez dekhain:
Order (position) ko kese open/mukammal karain?
Trading order ko open karny ke mukhtalif tareeqay hain:
- Program menu main “Tools” → “Naya order” muntakhib karain.
- "Market dekhain" window main trading instrument ke naam par double click karain.
- Toolbar par "Naya Order" ke button par click karain.
- Keyboard par F9 key dabayen.
Position open karty waqt, darj zel fields ko pur karna zaroori hai:
- Ilamat – trading ke liye instrument muntakhib karain.
- Hujam – order ka hujam set karain (lots ki tadaad).
- Stop loss – Stop loss level set karain (lazmi nahi). Agar ye 0.000 hai, to ye samjha jata hai ke order nahi kiya gya.
- Take profit – Take profit level ko set karna bhi lazmi parameter nahi hai. Agar ye 0.000 hai, to ye samjha jata hai ke order nahi kiya gya
Intabah! Agar Stop loss aur Take profit levels mojooda qimat ke boht qareeb hon, to aap ko nuqs ka ye pegham nazar aega: "Ghalat S/L ya T/P”. Aap ko levels ko mojooda qimat se door karna hoga aur dobara darkhwast karni hogi.
Zair-e-Iltawa Order.
zair-e-Iltawa order open karny ke liye, apny keyboard par F9 key dabayen aur “Type” menu main "Zair-e-Iltawa order" muntakhib karain.
Position ki closing
Position close karny ke liye, barah e karam, chart ke neechay "Trade" area main order par right-click karain aur menu par "Mukammal order" muntakhib karain. Order mukammal karny ka doosra tareeqa "Trade" area main us par duoble-click karna hai.
Jab qimat muntakhib karda Take profit ya Stop loss par phunchay gi to Take profit aur/ya Stop loss ke set karda levels ke hamil khud kar tor par mukammal ho jayen gy. Long position ko bid ki qimat, Short position – Ask price par close kiya jata hai.
MetaTrader ke mutaliq mazeed jan'ny ke liye aap MetaTrader developers ki website par rabta kar sakty hain.
Is ke ilawa, agar aap terminal ka PC version istemal kar rhy hain, to aap keyboard par "F1" ko dabaty hoye software functional ki tafseeli wazahat dekh sakty hain.
Tutorials
Aap hamari website par kuch mufeed tutorial videos dekh sakty hain.
Is ke ilawa, hum aap ko apni Forex Guidebook parhny ki tajweez dete hain.
Barah e karam, ba khabar rahain ke, badqismati se, kisi bhi halaat main hamari customer support team trading aur trading ki hiktam-e-amliyon ke masayil ke hawale se hamare customers se rabta karny ki paband nahi hai. Agar aap amli maloomat ke mutaliq mazeed jan,nay main dilchaspi rakhty hain, to aap, pehly, internet par talash kar sakty hain. Is ke bad, hum ye dekhny ke liye aap ko Demo account kholnay ka moqa faraham karty hain ke agr mustaqbil main aap Asal account kholna chahain to us ke liye trading ki sharyit kese kaam karain gi. Aap ke feham ka shukriya!