Barah e karam, mehrbani farma kar ba khabar rahain ke FBS clients ke credit aur debit cards se company ko funds transfer ke liye saalsi company ki services ko istemal karta hai.
Is ka matlab hai ke system process main fareeq e salis ke tor par kaam karta hai aur wo infardai soorton main hammary kuch clients ke transactions ko mustrad karny ka haq mehfooz rakhty hain.
Ye debit/credit cards se deposits ke mustrad hoany ki aham tareen wajoohat ki fehrist hai:
- Card par client ka name maojood nahi hota.
- Card aik mulk me jari kiya gya jab ke client kisi aur mulk sy deposit karny ki koshish kar raha hai. Card ko usi mulk main istemal kiya sakta hai jaha usay jari kiya giya ho.
- Card client ki milkiyat nahi hai (client cardhloder nahi hai).
- Card par mojood name FBS account main client ke name sy mukhtalif hota hai (jab client profile main mukammal name nahi batata, to ye nuqs paida ho sakta hai).
- Adaigi ke system ko kisi Jaal saazi ki sargarmi ka pata chala hai.
- 3D ki mehfooz tasdeeq ke bagher cards ki adaigion ko khud kar tor par mustrad kar diya jata hai. Aap apny bank ya card company se rabta kar ke 3D ke mehfooz option ko fa'aal kar sakty hain.
Lagta hai ke aap ke maamle main adaigi ke system ne apni androoni wajoohat ke bayis adaigi ko mustrad kiya hai. Badqismati se, adaigi ke systems hamain is bat ki asal waja nahi bataty ke aisa kiun hoa, lekin lagta hai ke aap ke card ko aap ke FBS account par deposits karny ke liye qabool nahi kiya ja sakta.
Hum takleef ke liye maazrat kha hain aur deposit karny aap ko koi aur credit/debit card ya koi aur adaigi ka system istemal karny ki tajweez dete hain.
Aap Finances main dastiyab systems main se kisi ko bhi b muntakhib kar sakty hain.
Aap ki mufahmat ka shukriya!
Mazeed ye ke, Barah e karam, mehrbani farma kar note karain ke jab aap credit/debit card ke zariye deposit karty hain, to cardholder ka name (jo card par tehreer shuda hai) trading account ke maalik ke name se mumasil hona chaiye. Hum fareeq e salis ki adaigion ko qabool nahi karty, jis ka matlab hai ke, badqismati se, aap kisi aur shakhs ke card ke zariye deposit nahi kar sakte.
Munasib yaad dihani: aap Finances (Transaction history) main apni transaction ka status dekh sakty hain.