Categories
-
FBS PERSONAL AREA (MOBILE)
Dariyaft karain keh aap kisi bhi waqt kahin bhi kesy apny trading accounts ko manage kar sakty hain -
FBS PERSONAL AREA (WEB)
Apny Personal Area se zyada se zyada faida uthany ka tariqa sekhain -
FBS TRADER — TRADING PLATFORM
Wo tamam malumat jo aapko Vita aur FibusTrader — Trading Platform per kaam karty waqt darkaar ho sakti hain -
FINANCIAL OPERATIONS
Smooth deposits aur withdrawals keh liye zarori malumat talash karain -
PROMOTIONS AND BONUSES
FBS promotions keh baray main zarori tafseelaat check karain -
GENERAL INFORMATION
FBS keh sath registration se ly kar trading tak kaam karny keh baray main bunyadi malumat -
PARTNERSHIP
Introducing Broker (IB) hony keh baray main sub kuch janiye -
LOYALTY PROGRAM
FBS keh liye apni devotion keh liye real gifts hasil karny ka tariqa malum karain
FAQ
-
Me apna trading password (FBS – Stocks & Forex Trading app) bhool gaya/gai
Apna trading account password bahal karne k liye, barah karam, Dashboard table me apne trading account par click karen.
Account settings k khul jane wale safhe par, apko "MetaTrader settings" section me "Naya MetaTrader password takhleeq karen" button nazar aega.
Button par click karne k bad, apko intibahi pop-up window nazar aegi. "OK" button par click karen agar ap yaqeeni tor par is account k liye naya trading password takhleeq karna chahte hain.
Apko naye trading account se mutaliq malomat ka safha nazar aega.
-
Me apne phone number ki tasdeeq kese kar sakta/sakti hun?
Barah e karam, yaad rakhain ke phone ki tasdeeq ka amal ikhtyari hai, lihaza aap e-mail ki tasdeeq par inhesar kar sakty hain aur apny phone number ki tasdeeq ko nazar andaz kar sakty hain.
Taham, agar ap number munsalik karna chahte hain, to barah karam apne Personal Area me log in karen or yaqeeni banaen k apki shanakht ki kamyab tasdeeq hogai hai. Is ke bad, "Tasdeeq ki pesh raft" ke widget main "Phone ki tasdeeq karain" ke button par click karain:
Apna phone number darj karain or "SMS code bhejen" ke button par click karain.
Is ke bad, aap ko aik SMS code mosool hoga jisay aap ny faraham karda field main darj karna hoga.
Agar ap phone ki tasdeeq karne me masail ka samna kar rahe hain, to sab se pehle, barah karam, check karen k apka darj karda phone number durust hai.
Mad e nazar rakhne k liye yahan kuch tajaweez hain:
- apko apne phone number k shuru me "0" darj karne ki zarurat nahi hai;
- Aap ko manually mulki code darj karny ki zaroorat nahi. Aap ke drop-down menu (phone number ki field ke samny flags sy dikhaya jata hai) main durust mulk muntakhib karny ke bad system khud kar tor par is ko set kary ga;
- code k anay tak apko kam az kam 5 minute intezar karna ho ga.
Agar ap ko yaqeen hay k ap ne har cheez durust tareeqe se ki hai magar phr bhi SMS code nahi milta, to ham dusra phone number try karne ka mashwara den ge. Ye masla aap ke farham karny waly ki taraf ho sakta hai. Is ke liye, field me mukhtalif phone number darj karain or tasdeeqi code ki darkhwast karen.
Is ke ilawa, ap voice ki tasdeeq ke zariye bhi code ki darkhwast kar sakte hain.
Ye krny ke liye, apko code ki darkhwast karne ke bad 5 minutes intezar karna hoga phr "Tasdeeqi code ki hamil voice call ke liye callback ki darkhwast karain" button par click karain. Safha is tarah nazar aye ga:Barah karam zehan me rakhen k ap sirf is surat me voice code ki darkhwast kar sakte hain agar apki profile tasdeeq shuda hoti hai.
-
Main kese deposit karu?
Aap apny Personal Area main apny account main raqam deposit kar sakty hain.
- Safhay ke balai hisay par menu main "Finances" par click karain:
- "Deposit" muntakhib karain;
- Adaigi ka mozu system muntakhib karain aur is par click karain;
- Us trading account ki wazahat karain jis par aap deposit karna chahtay hain;
- Zaroorat parny par apny e-wallet ya adaigi ke system ke account ke mutaliq maloomat ki wazahat karain;
- Wo raqam type karain jo ap deposit karna chahtay hain;
- Currency muntakhib karain;
- "Deposit" button par click karain.
Raqam nikalwanay aur androoni transfers karnay ka tareeka aik jesa hota hy.
Aap Transaction History main apni maaliyati darkhwaston ke status ki nigrani kar sakain ge.
Aham maloomat! Barah e karam, is baat ka dhiyan rakhain ke Customer ke muahiday ke mutabiq: client sirf adaigi ke un systems ke zariye apny account se funds nikalwa sakty hain jin ko deposit ke liye istemal kiya gya hai. Un ilaqo main jaha maqami banks dastyab hain, baqi cheezo (jesa ke munafay, bonus funds, inamaat, partner commission, waghera) ko maqami banks se nikalwana chaiye. Agar Personal Area main maqami banks dastyab na hon, to munafay kisi bhi e-wallets ke zariye nikalwaye ja sakty hain.
- Safhay ke balai hisay par menu main "Finances" par click karain:
-
FBS Personal Area (web) main deposit ki kam se kam raqam kiya hai?
Barah-e-karam, account ki mukhtalif iqsaam ky liye tarteeb war darj zail deposit tajaweez par ghor karen:
- "Cent" account ke liye deposit ki kam se kam raqam 5 USD hai;
- "Standard" account ke liye - 100 USD.
Amooman, account ki "Pro" qism ke ilawa, deposit ki kam se kam raqam $5 hoti hai. Account ki "Pro" qism ke liye tajweez karda kam se kam deposit aur balance dono 200$ hai. Is ke ilawa, barah e karam ghor karain ke adaigi ke mukhtalif systems ke liye deposit ki kam se kam raqam mukhtalif ho sakti hai. Misaal ke tor par:
- Neteller: 10 USD;
- Skrill: 12 USD;
- Perfect Money: 5 USD.;
- Ethereum: 0.01 ETH;
- Tether: 10 USDT;
- Litecoin: 0.2 LTC;
- Bitcoin Cash: 0.05 BCH;
- Bitcoin: Kam se kam tajweez karda deposit 36 USD hai. Hum aap ko ye yad dilana chahain gy k choti ruqom k liye deposits pr amal kari manual ki jati hai aur un me waqt lag sakta hai.
Barah-e-karam ye jannay k liye is link ka istamal karen k apny account mai order kholny k liye kitni raqam chahiye hoti hai. Ap is hawaly se sikhnay k liye hidayat yahan bhi check kar sakty hain k Trading calculator kesy istamal karna hai.
-
Main raqam kaise nikalwaon?
Aham maloomat! Barah e karam, is baat ka dhiyan rakhain ke Customer ke muahiday ke mutabiq: client sirf adaigi ke un systems ke zariye apny account se funds nikalwa sakty hain jin ko deposit ke liye istemal kiya gya hai.
Jesa ke client adaigi ke mutadid tareekay istemal kar ke deposits karty hain, is lye raqam nikalwanay ke amal LIFO (last in first out) system ke mutabiq anjaam diye jatay hain. Is ka matlab hai ke agar client adaigi ke tariqay 1 ka istemal karty hoye apny account main deposit karta hai, aur us ke bad deposit ke lye adaigi ke tariqay 2 ko istemal karta hai, to nikalwanay ke lye, adaigi ke tariqay 2 ke zariye kiye janay waly deposit ka kul majmoa adaigi ke tariqay 2 ke zariye pehlay (akatha ya alehda tor par) nikalwana chaiye, aur us ke bad hi, adaigi ke tariqay 1 se nikalwaya ja sake ga.
Un ilaqo main jaha maqami banks dastyab hain, baqi cheezo (jesa ke munafay, bonus funds, inamaat, partner commission, waghera) ko maqami banks se nikalwana chaiye. Agar Personal Area main maqami banks dastyab na hon, to munafay kisi bhi e-wallets ke zariye nikalwaye ja sakty hain.
Is ke ilawa, agr Client financial operations main digital/virtual currency istemal karta hai, to wo funds nikalwany ke doran har aik digital currency ke liye aik makhsoos wallet istemal karnay ka iqrar karta hai.Aap apny Personal Area main apny account se raqam nikalwa sakty hain.
- Safhay ka balai hisay par menu main "Finances" par click karain:
- "Nikalwana" muntakhib karain;
- Adaigi ka mozu system muntakhib karain aur is par click karain;
- Us trading account ki wazahat karain jis se aap raqam nikalwana chahty hain;
- Apny e-wallet ya adaigi ke system ke account ke mutaliq maloomat ki wazahat karain. Card ke zariye nikalwany ki soorat main apny card ki copy ki samnay aur pichay ki atraaf upload karnay ke liye "+" alamat par click karain;
- Wo raqam type karain jo ap nikalwana chahtay hain;
- "Nikalwany ki tasdeeq karain" ke button par click karain.
Barah-e-karam, is bat ka dhiyan rakhain ke nikalwany ka commission ap ky muntakhib karda adaigi k system par munhasir hai.
Nikalwanay ki kaarwai ka waqt adaigi ke system par bhi munhasir hota hai.
Aap Transaction History main apni maaliyati darkhwaston ke status ki nigrani kar sakain ge.
Barah karam, yad rakhen k customer k muahiday k mutabiq:
5.2.8. Agar kisi account ko debit ya credit card k zariye fund dia gaya tha, to raqam nikalwany k amal k liye card ki copy darkar hoti hai. Copy pehlay 6 adadi awr akhri 4 4 adadi card number, cardholder ka name, expiry date par mushtamil honi chahiyay.Apko apne card ki uqbi taraf mojud CVV code chupana chahiye, hamen us ki zarurat nahi hoti hai.
- Safhay ka balai hisay par menu main "Finances" par click karain:
-
Main apna trading password bhool gya/gai hu
Apny trading account ke password ko bahal karny ke liye, Barah e karam, pehlay apny Personal Area main log in karain aur Dashboard table main apny trading account par click karain.
Account ki tarteebat ke khul jane wale safhe par apko "MT server" section main "naya MT4/5 password banayen" ikhtiyar nazar aye ga.
Button par click karne k bad, apko intibahi pop-up window nazar aegi. Agar ap waqai is account k liye naya trading password takhleeq karna chahte hain to "Tasdeeq karain" ke button par click karen.
Apko naye trading account se mutaliq malomat ka safha nazar aega.
-
Apnay funds nikalwany main kitna waqt lagta hai?
Barah e karam, mehrbani farma kar yad rakhain, ke company ka Financial Department amooman client ki raqam nikalwany ki darkhwaston ko pehly aiye, pehly paiye ki bunyad par process karta hai.
Jese hi hamara Financial Department aap ki raqam nikalwany ki darkhwast ko manzoor krta hai, to hamari taraf sy funds bhej diye jaty hain, lekin is ko mazeed process karna adaigi ke system par munhasir hai.
- Adaigi ke electronic systems se raqam nikalwany (jesa ke Skrill, Perfect Money, waghera) ko fori tor par credit kar dena chaiye, lekin baaz oqat is main 30 minutes tak ka waqt lag sakta hai.
- Agar aap apny card par raqam nikalwana chahty hain, to barah e karam, yaad rakhain ke osat ke lihaz se funds ko credit honay main 3 sy 4 karobari din lag sakty hain.
- Bank se transfer ki soorat mian raqam nikalwany ko amooman 7 se 10 karobari dino main process kiya jata hai.
- Bitcoin wallet se raqam nikalwany main chnd minutes se kuch dino tak ka waqt lag sakta hai kiun ke duniya bhar ki tamam bitcoin transactions ko aik sath process kiya jata hai. Aik waqt main jitnay zyada log transfers ki darkhwast karain ge, transfers honay main utna zyada waqt lagy ga.
Barah e karam, mehrbani farma kar yad rakhain ke tamam khud kar adaigion ko Financial Department ke karobari ghanton ke mutabiq process nahi kiya ja raha.
FBS Financial Department 24/7 kaam karta hai.
Barah e karam, mehrbani farma kar yaad rakhain ke aap Transaction History main apni financial darkhwaston ka status dekh sakty hain.
-
Apny trading account me log in kese karun?
Agar MetaTrader main aap ko "KOI CONNECTION NAHI" ka nuqs nazar aye to connection ka set up kese karain:
- "File" par click karain (MetaTrader main balayi bayen konay par);
- "Trade account par log in karain" muntakhib karain:
- "Login" section main account number darj karain;
- "Password" ke section main trading password (jo trade karny ke qabil ho) ya sarmayakar ka password (sirf sargarmi ki nigrani ke liye; order krny ka option switch off kar diya jaye ga) darj karain;
- "Server" section mian tajweez karda fehrist say server ka mukammal name muntakhib karain:
Barah e karam, mehrbani farma kar ba khabar rahain ke Server number aap ko account kholty waqt diya gya tha. Agar aap ko apny Server number yaad nahi, to aap apna trading password bahal karny ke doran isko dekh sakty hain. Is ke ilawa, aap Server address ko muntakhib karny ke bajaye usay manually darj kar sakty hain.
Hum se rabta karna chahte hain?
Please humse rabta karain. Hum aapke sawalaat keh jawab dain gain aur aapka request kiya hoa article add karain gye
-
Maqami speakers
-
24/7 customer support