Ping MetaTrader platform aur broker ke server ko connect karne ke liye avashak samay ko darshata hain.
Aasaan shabdon me, jitna kam ping amount hoga, unta hi tez connection hoga.
Jyada number ka matlab hai ki MetaTrader platform aur trading servers ke beech ka data communication delayed hain. Isiliye, ping value ko dekhkar aap apne connection ki quality ko samajh sakte hain.
Normal ping value kitna hota hain?
100 se kam ko normal ping value maana jata hain. Traders jinka ping value isse kam hai ve aamtaur par connection issues ka saamna nahi karte hain.
Agar ping value jyada hain, toh main ise theek kaise kar sakta hu?
- Cable dwara Internet se connect karne ki koshish karen.
Agar aap Wi-Fi dwara Interet se connected ho, toh speed unstable aur ping jyada ho sakta hain. Wi-Fi ki quality physical chizon aur radio waves se bhi prabhaavit hoti hain. Isiliye, connection speed kam ho jaati hai, aur ping value badh jaata hain.
Kyuke cable dwara Internet quality stable hoti hai, toh ping value kam karne ke liye Wi-Fi ki bajaay wire se connect karna behtar hoga. Yadi Wi-Fi router se aapne room tak connection banana aasaan nahi hai, toh wireless signal ko boost karne ke liye Wi-Fi repeater ka upyog karen; - Aap IPv6 ka upyog kar sakte hain.
Wi-Fi router se aapke computer ya MetaTrader platform tak LAN cable ka performance cable type par nirbhar karta hain. Optical cables ke kai providers "IPv6" naamak communication ka upyog karte hai, jo communication speed ko badhaata hai, lekin aise bhi optical lines hai jo IPv6 ka upyog nahi karte.
Agar apka connection environment IPv4 dikha raha hain, toh ho sakta hai ki aapka ping value IPv6 method me switch karke aur kam ho sakta hain.
Aap switching method provider ke official website ya support desk par check kar sakte hai; - Purane Wi-Fi router ko badlen.
Wi-Fi routers ki performance lagaataar sudhar rahi hai, latest Wi-Fi routers ko high-speed communication ke liye upyog kiya ja sakta hain. Kaee models ke paas aise function hai jo Wi-Fi signal ko dur tak pahucha pate hai jisse ping value me sudhaar dekha ja sakta hain.