Jaruri jankari! Krupya, is baat par dhyaan de ki Customer Agreement ke anusaar: Client apne account mein keval unhi payment system se fund withdraw kar sakte hai jo payment system se deposit kiya gaya ho.Un kshetron mein jahan local bank uplabdh hai, baki (jaise profits, bonus funds, awards, partner commission, aadi) local bank to withdraw kia jaana chahiye. Yadi local bank personal area mein nahin uplabdh hai, to laabh kisi bhi e-wallet ya exchanger ke maadhyam se nikaala ja sakata hai.
iske atirikt, yadi graahak financial operations ke liye digital/virtual currency istemal karte hai, to wo funds withdraw karte samay pratyek digital currency mein kewal ek vishisht wallet ka upyog karna swikar karta hai.
Aap pane Personal Area me apne khaate se pese withdraw kar sakte hai.
- Left me menu me Finances par click kare.
- Withdrawal chune.
- Suitable payment system chune or uspar click kare.
- Trading khaate ko specify kare jisse aap withdraw karna chahte hai.
- Apne e-wallet or payment system ke baare me information specify kare.
Card ke madhyam se withdrawal ke liye apne card copy ke piche or saamne ke hisse ko upload karne ke liye “+” sign par click kare. - Amount bhare jitna aap withdraw karna chahte hai.
- “Confirm Withdrawal” button par click kare.
Kripya, dhyaan de, ki withdrawal commission aapke dwara chune gaye payment system par nirbhar karta hai.
Withdrawal process time aapke payment system par bhi nirbhar karta hai.
Aap Transaction History me apne financial requests ki stithi ki nigrani kar sakte hai.
Kripya, dhyaan de Customer Agreement ke anusar:
5.2.8. Agar ek account mein paise debit ya credit card se kiya jata hai tab card ki copy chahiye taki paise account se nikale jaa ske. Copy mein card k pehle 6 digits or aakhri 4 digit hone chahiye, cardholder ka naam, expiry date or cardholder k signature.
Aapke card ke piche ka CVV code aap dhak sakte hai, hume uski avashyakta nahi hai.
Aapke card ke piche hume bas aapke signature ki avashyakta hai jo card ki validity confirm karta hai.