Hum aako yaad dilana chahate hai, ki Visa/Mastercard vo payment system hai, jo keval deposited funds ke refund ke liye anumati deta hai.
Iska matlab hai ki aap card ke maadhyam se keval apne deposit ki gai rashi nikaal sakte hai.
Card k zariye refund krne mein zyada samay sirf isiliye hi lagta hai kyuji isme zyada steps hai. Jab aap ek fund ko initiate karte hai, jaise ki merchandise ko wapis krna store par, seller refund k liye a naya transaction request card network par krta hai. Card company ko ye suchna zaroor milni chahiye, usse aapki purchase history se check krna, merchant ki request ko confirm krna, refund ko bank se clear krna fir paise aapke account mein dalna. Card ki billing par ek statement ka hona jisme refund ko credit dikhna, jo ki iss pure process ka aakhri step hai. Har step par deri hona ek aam baat hai, insaan ya machine k errors k chalte. Yahi karan hai ki refund hone mein 1 mahine se zyada lag jata hai!
Kripya, aapko suchit kiya jaata hai, aamtor par card ke madhyaam se withdrawal 3-4 dino me ho jaati hai.
Yadi aapko in dino ke bhitar funds praapt nahi hui hai, to aap humse chat or e-mail ke maadhyam se sampark kar sakte hai or withdrawal confirmation request kar sakte hai.