Kripya, FBS mediator company ki services istemaal krti hai client k credit or debit cards se funds transfer krne k liye.
Iska matlab hai ki system ek third party k tarah kam karta hai iss process mein or wo humare kuch clients ki transaction ko decline kar skte hai.
Ye unn reasons ki list hai jinki wajah se debit/credit card deposits ko radd kiye jaa skte hai:
- Card par client ka naam nhi hai.
- Card issue kissi dusre desh se hua tha par client deposit kissi or desh se karwa raha hai. Card sirf uasi desh mein istemaal kiya jaa skta hai jaha wo issue kiya gya ho.
- Card uss vaykti ka naah ho jiske pass hai.
- Card me jo name hai vo client ke FBS account name se different hai (Agar client ka full name nahi hai profile me, to esa ho saka hai).
- Koi fraud activity payment system dwara detect ki gai.
- 3D secure verification ke bina card ke payment automatically decline kar diye jaate hai. Yadi aap apne bank ya card company ko contact karte hai to aap ek 3D secure option ko enable kar sakte hai.
Aapka case unn cases mein se hai jab payment system payment decline karta hai kissi internal resons se. Durbhagya varsh, payment system hume karan nahi batata payment decline krne ka, parantu aisa lagta hai ki aapka credit card accept nhi ho raha FBS account mein raashi jamma karwane ke liye.
Hum maaffi chahte hai or hum aapko sujhav denge ki aap dusra debit/credit card istemal kre ya koi dusra payment system deposit krne k liye.
Aap kisi bhi system ko choose kar sakte hai jo available hai aapke Finances me.
Shukriya smjhne ke liye!
Or dhyan rakhe ki deposit k samay, cardholder ka naam trading account k owner k naam se milna chahiye. Hum third party payments savikar nahi kete hai, iska matlab hai ki aapk kissi or vaykti k card se payment nhi kar skte.
Kind reminder: aap apne transaction ka status Finances me dekh sakte hai (Transaction History).